jagi raaton ka etibar kahan
jaagī rātoñ kā e'tibār kahāñ
mujh ko ḳhvāboñ pe iḳhtiyār kahāñ
niiñd bistar pe jaagī rahtī hai
dil kā jaane gayā qarār kahāñ
raqs parvāne kā hai nazroñ meñ
sham' kā koī rāzdār kahāñ
bante bante banegī baat kabhī
abhī us ko hai mujh se pyaar kahāñ
muskurāhaT bikher do tum to
ġham bhī hotā hai sāzgār kahāñ
ab nahīñ aatī us kī yaad mujhe
merī āñkheñ haiñ ashk-bār kahāñ
zindagī tez-rau meñ chaltī hai
koī kartā hai intizār kahāñ
ek 'ādat sī ho ga.ī un kī
ab mohabbat meñ vo ḳhumār kahāñ
din Dhale chāñdnī utartī hai
shahr kī shaam rang-zār kahāñ
dil ke rishte 'ajīb hote haiñ
hai magar dil bhī jānkār kahāñ
chaar din zindagī ke kaafī haiñ
dil ko aanā hai bār-bār kahāñ
jagi raaton ka e'tibar kahan
mujh ko KHwabon pe iKHtiyar kahan
nind bistar pe jagi rahti hai
dil ka jaane gaya qarar kahan
raqs parwane ka hai nazron mein
sham' ka koi raazdar kahan
bante bante banegi baat kabhi
abhi us ko hai mujh se pyar kahan
muskurahaT bikher do tum to
gham bhi hota hai sazgar kahan
ab nahin aati us ki yaad mujhe
meri aankhen hain ashk-bar kahan
zindagi tez-rau mein chalti hai
koi karta hai intizar kahan
ek 'adat si ho gai un ki
ab mohabbat mein wo KHumar kahan
din Dhale chandni utarti hai
shahr ki sham rang-zar kahan
dil ke rishte 'ajib hote hain
hai magar dil bhi jaankar kahan
chaar din zindagi ke kafi hain
dil ko aana hai bar-bar kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.