jagta rahta hun aur khiDki khuli rahti hai
jāgtā rahtā huuñ aur khiḌkī khulī rahtī hai
kyā ḳhushī hai ki musībat hī paḌī rahtī hai
itnī dīvāreñ girā kar bhī yahī dekhā hai
ek dīvār mirī rah meñ khaḌī rahtī hai
baaġh meñ bikhre hue rañg bahut zālim haiñ
ba.az goshoñ meñ to vīrānī paḌī rahtī hai
hijr meñ vasl ke phal-phūl khile rahte haiñ
shāḳh bichhḌe hue mausam se bharī rahtī hai
ek vīrāna hai jo shahr ko khā jaatā hai
ek bastī hai jo jañgal meñ basī rahtī hai
ab vo ḳhush-chehra sī ḳhātūn kahāñ par hogī
fikr sī koī mire jī ko lagī rahtī hai
had se baḌhtī huī vahshat bhī ajab shai hai 'vafā'
mere chehre pe kisī ġham kī hañsī rahtī hai
mausam-e-girya guzar jaatā hai maqsūd-'vafā'
merī dīvār pe bārish kī namī rahtī hai
jagta rahta hun aur khiDki khuli rahti hai
kya KHushi hai ki musibat hi paDi rahti hai
itni diwaren gira kar bhi yahi dekha hai
ek diwar meri rah mein khaDi rahti hai
bagh mein bikhre hue rang bahut zalim hain
baz goshon mein to virani paDi rahti hai
hijr mein wasl ke phal-phul khile rahte hain
shaKH bichhDe hue mausam se bhari rahti hai
ek virana hai jo shahr ko kha jata hai
ek basti hai jo jangal mein basi rahti hai
ab wo KHush-chehra si KHatun kahan par hogi
fikr si koi mere ji ko lagi rahti hai
had se baDhti hui wahshat bhi ajab shai hai 'wafa'
mere chehre pe kisi gham ki hansi rahti hai
mausam-e-girya guzar jata hai maqsud-'wafa'
meri diwar pe barish ki nami rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.