jagta rahta hun mahtab bahut dekhta hun
jāgtā rahtā huuñ mahtāb bahut dekhtā huuñ
log kahte haiñ ki maiñ ḳhvāb bahut dekhtā huuñ
apnī rusvā.ī ke asbāb bahut dekhtā huuñ
apne atrāf meñ ahbāb bahut dekhtā huuñ
koī dariyā umaD aayā hai mire sahrā meñ
har galī kūche meñ sailāb bahut dekhtā huuñ
hāzirī lagtī hai shāyad tire darbār meñ ab
āj-kal sundus-o-kam-ḳhvāb bahut dekhtā huuñ
dostī mehr-o-vafā ishq junūñ aur īsār
āj-kal jins ye nāyāb bahut dekhtā huuñ
dekhnā jis ko na chāhūñ vo haiñ kasrat se baham
dekhnā hai jise kamyāb bahut dekhtā huuñ
in dinoñ terī ināyāt kā markaz huuñ 'hanīf'
in dinoñ ḳhud ko maiñ shādāb bahut dekhtā huuñ
jagta rahta hun mahtab bahut dekhta hun
log kahte hain ki main KHwab bahut dekhta hun
apni ruswai ke asbab bahut dekhta hun
apne atraf mein ahbab bahut dekhta hun
koi dariya umaD aaya hai mere sahra mein
har gali kuche mein sailab bahut dekhta hun
haziri lagti hai shayad tere darbar mein ab
aaj-kal sundus-o-kam-KHwab bahut dekhta hun
dosti mehr-o-wafa ishq junun aur isar
aaj-kal jins ye nayab bahut dekhta hun
dekhna jis ko na chahun wo hain kasrat se baham
dekhna hai jise kamyab bahut dekhta hun
in dinon teri inayat ka markaz hun 'hanif'
in dinon KHud ko main shadab bahut dekhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.