jagte jagte umr basar ho aisa bhi ho sakta hai
jāgte jāgte umr basar ho aisā bhī ho saktā hai
pal meñ shab-e-furqat kī sahar ho aisā bhī ho saktā hai
jin logoñ ne jaan ke merā ghar kuchh patthar pheñkeñ haiñ
vo un kā apnā hī ghar ho aisā bhī ho saktā hai
aaj to bas patthar hī patthar apne sirhāne haiñ lekin
kal un kī āġhosh meñ sar ho aisā bhī ho saktā hai
raaz vo dil kā jis ko ham ne ab tak raaz hī rakkhā hai
lekin us kī sab ko ḳhabar ho aisā bhī ho saktā hai
duniyā jis ko 'faiz' samajh baiThe haiñ ham ik shīsh-mahal
vo bhī koī ret kā ghar ho aisā bhī ho saktā hai
jagte jagte umr basar ho aisa bhi ho sakta hai
pal mein shab-e-furqat ki sahar ho aisa bhi ho sakta hai
jin logon ne jaan ke mera ghar kuchh patthar phenken hain
wo un ka apna hi ghar ho aisa bhi ho sakta hai
aaj to bas patthar hi patthar apne sirhane hain lekin
kal un ki aaghosh mein sar ho aisa bhi ho sakta hai
raaz wo dil ka jis ko hum ne ab tak raaz hi rakkha hai
lekin us ki sab ko KHabar ho aisa bhi ho sakta hai
duniya jis ko 'faiz' samajh baiThe hain hum ek shish-mahal
wo bhi koi ret ka ghar ho aisa bhi ho sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.