jagte zaKHmon ka inam mila hai mujhko
jāgte zaḳhmoñ kā in.aam milā hai mujh ko
har nafas ziist kā ilhām huā hai mujh ko
dāvat-e-kām-o-dahan mujh ko na deñ ahl-e-tarab
nashsha-e-talḳhī-e-ayyām sivā hai mujh ko
apne ban-bās kā qissa maiñ sunātā kis ko
shahr meñ jo bhī milā raam lagā hai mujh ko
us ne chāhā thā vo apne meñ chhupā le ḳhud ko
chehra chehra vo bahar-gām milā hai mujh ko
maiñ huuñ paiġhambar-e-tahzīb mire paas aao
baḳhsh duuñ tum ko jo paiġhām milā hai mujh ko
mujh se vāqif thā bahut shahr-e-nigārāñ 'mohsin'
aur kuchh us ne bhī badnām kiyā hai mujh ko
jagte zaKHmon ka inam mila hai mujh ko
har nafas zist ka ilham hua hai mujh ko
dawat-e-kaam-o-dahan mujh ko na den ahl-e-tarab
nashsha-e-talKHi-e-ayyam siwa hai mujh ko
apne ban-bas ka qissa main sunata kis ko
shahr mein jo bhi mila ram laga hai mujh ko
us ne chaha tha wo apne mein chhupa le KHud ko
chehra chehra wo bahar-gam mila hai mujh ko
main hun paighambar-e-tahzib mere pas aao
baKHsh dun tum ko jo paigham mila hai mujh ko
mujh se waqif tha bahut shahr-e-nigaran 'mohsin'
aur kuchh us ne bhi badnam kiya hai mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.