jagti aankhon ke sahraon mein KHwabon ke sarab
jagti aankhon ke sahraon mein KHwabon ke sarab
Syed Mohammad Ahmad Naqvi
MORE BYSyed Mohammad Ahmad Naqvi
jāgtī āñkhoñ ke sahrāoñ meñ ḳhvāboñ ke sarāb
duur tak bikhre hue pur-ḳhār rāhoñ meñ gulāb
din guzar jā.egā phir tārīkiyoñ meñ Duub kar
aaj kī shab phir savā neze pe hogā āftāb
merī āñkhoñ meñ savāloñ ke hazāroñ qāfile
us ke chehre par thakā-māñda sā ik tanhā javāb
ik shajar mujh ko uḌhā kar apne saa.e kī ridā
apne sar oḌhe rahā hogā tamāzat kā azaab
dūsroñ ke ġham sameTe jis ne 'naqvī' saarī umr
kaash kar saktā koī ḳhud us ke zaḳhmoñ kā hisāb
jagti aankhon ke sahraon mein KHwabon ke sarab
dur tak bikhre hue pur-KHar rahon mein gulab
din guzar jaega phir tarikiyon mein Dub kar
aaj ki shab phir sawa neze pe hoga aaftab
meri aankhon mein sawalon ke hazaron qafile
us ke chehre par thaka-manda sa ek tanha jawab
ek shajar mujh ko uDha kar apne sae ki rida
apne sar oDhe raha hoga tamazat ka azab
dusron ke gham sameTe jis ne 'naqwi' sari umr
kash kar sakta koi KHud us ke zaKHmon ka hisab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.