jagti aankhon ko KHwabon ki saza de jaega
jāgtī āñkhoñ ko ḳhvāboñ kī sazā de jā.egā
phir purānā dost koī dukh nayā de jā.egā
jaane kab TūTegā ye lafz-o-ma'ānī kā tilism
jaane kab vo gūñge lafzoñ ko sadā de jā.egā
būḌhī āñkhoñ ne sajāyā hai javāñ beTe kā ḳhvāb
kāñpte hāthoñ meñ ik ḳhat Dākiyā de jā.egā
raat din lipTā hai pairoñ se mire andhā safar
ajnabī ehsās manzil kā pata de jā.egā
raat ke āñgan meñ sūraj ke musāfir kā qiyām
phuul se jismoñ ko zaḳhmoñ kī qabā de jā.egā
muskurātī zindagī ke ḳhuun kā pyāsā 'uqāb
vaqt ke hāthoñ meñ zaḳhmī fāḳhta de jā.egā
jhuuT is se pahle to bachchoñ ke hoñToñ par na thā
bhuuk kā aaseb un ko aur kyā de jā.egā
mere munsif faisla terā sar-e-taslīm ḳham
jo bhī kuchh hogā muqaddar meñ likhā de jā.egā
phir dulhan banñe se pahle muflisī beva huī
phir amīr-e-shahr ḳhvāboñ ko chitā de jā.egā
jagti aankhon ko KHwabon ki saza de jaega
phir purana dost koi dukh naya de jaega
jaane kab TuTega ye lafz-o-ma'ani ka tilism
jaane kab wo gunge lafzon ko sada de jaega
buDhi aankhon ne sajaya hai jawan beTe ka KHwab
kanpte hathon mein ek KHat Dakiya de jaega
raat din lipTa hai pairon se mere andha safar
ajnabi ehsas manzil ka pata de jaega
raat ke aangan mein suraj ke musafir ka qiyam
phul se jismon ko zaKHmon ki qaba de jaega
muskuraati zindagi ke KHun ka pyasa 'uqab
waqt ke hathon mein zaKHmi faKHta de jaega
jhuT is se pahle to bachchon ke honTon par na tha
bhuk ka aaseb un ko aur kya de jaega
mere munsif faisla tera sar-e-taslim KHam
jo bhi kuchh hoga muqaddar mein likha de jaega
phir dulhan banne se pahle muflisi bewa hui
phir amir-e-shahr KHwabon ko chita de jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.