jagti aankhon mein the kuchh KHwab main soya na tha
jagti aankhon mein the kuchh KHwab main soya na tha
Syed Zafar Kashipurii
MORE BYSyed Zafar Kashipurii
jāgtī āñkhoñ meñ the kuchh ḳhvāb maiñ soyā na thā
bārhā dekhā thā jis ko us meñ vo chehra na thā
rakh diyā us ne mire chehre ke aage aa.ina
ye tamāsha paas se maiñ ne kabhī dekhā na thā
merī sāda-lauhī par hai kis liye vo ḳhanda-zan
maiñ ne chāhā to bahut thā par use sochā na thā
us se mil kar yuuñ lagā jaise vo juzv-e-jān hai
us kī furqat kā mujhe ab koī andesha na thā
aa.ine sab TuuT kar ke reza reza ho ga.e
saikḌoñ the aks un meñ ḳhud mirā chehra na thā
zindagānī kī haqīqat ho ga.ī mujh par ayaañ
ye sarāboñ kā safar hogī 'zafar' sochā na thā
jagti aankhon mein the kuchh KHwab main soya na tha
barha dekha tha jis ko us mein wo chehra na tha
rakh diya us ne mere chehre ke aage aaina
ye tamasha pas se main ne kabhi dekha na tha
meri sada-lauhi par hai kis liye wo KHanda-zan
main ne chaha to bahut tha par use socha na tha
us se mil kar yun laga jaise wo juzw-e-jaan hai
us ki furqat ka mujhe ab koi andesha na tha
aaine sab TuT kar ke reza reza ho gae
saikDon the aks un mein KHud mera chehra na tha
zindagani ki haqiqat ho gai mujh par ayan
ye sarabon ka safar hogi 'zafar' socha na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.