jam-e-gham aaj bhi chhalkao ki kuchh raat kaTe

jam-e-gham aaj bhi chhalkao ki kuchh raat kaTe
Mohammad Abdul Qadir Adeeb
MORE BYMohammad Abdul Qadir Adeeb
jām-e-ġham aaj bhī chhalkāo ki kuchh raat kaTe
saath rakkho mujhe bahlāo ki kuchh raat kaTe
zaḳhm-e-dil maiñ ne sajā.e haiñ jigar ke ḳhuuñ se
ḳhāna-e-dil meñ chale aao ki kuchh raat kaTe
sham' kī tarh jalo dil meñ ujālā ho jaa.e
mom ban jaao pighal jaao ki kuchh raat kaTe
raqs kartā hai fazāoñ meñ tarannum kā shabāb
giit kuchh pyaar bhare gaao ki kuchh raat kaTe
tum palaT aao to shab ke bhī palaT jā.eñge din
baḳht-e-ḳhufta mirā chamkāo ki kuchh raat kaTe
hijr kī raat to kaaTe se nahīñ kaTtī hai
zikr-e-jānāñ hī meñ kho jaao ki kuchh raat kaTe
band hai ġhuncha-e-dil shāḳh-e-tamannā pe 'adīb'
gul tabassum hī ke barsāo ki kuchh raat kaTe
jam-e-gham aaj bhi chhalkao ki kuchh raat kaTe
sath rakkho mujhe bahlao ki kuchh raat kaTe
zaKHm-e-dil main ne sajae hain jigar ke KHun se
KHana-e-dil mein chale aao ki kuchh raat kaTe
sham' ki tarh jalo dil mein ujala ho jae
mom ban jao pighal jao ki kuchh raat kaTe
raqs karta hai fazaon mein tarannum ka shabab
git kuchh pyar bhare gao ki kuchh raat kaTe
tum palaT aao to shab ke bhi palaT jaenge din
baKHt-e-KHufta mera chamkao ki kuchh raat kaTe
hijr ki raat to kaTe se nahin kaTti hai
zikr-e-jaanan hi mein kho jao ki kuchh raat kaTe
band hai ghuncha-e-dil shaKH-e-tamanna pe 'adib'
gul tabassum hi ke barsao ki kuchh raat kaTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.