jam-e-jam mange na jamshed ka saghar mange
jam-e-jam mange na jamshed ka saghar mange
Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi
MORE BYAbdul Qayyum Zaki Aurangabadi
jām-e-jam māñge na jamshed kā sāġhar māñge
lutf kī ek nazar ye dil-e-muztar māñge
shart hai ranj-o-ta’ab saḳhtī-e-daurāñ pahle
māñgnā ho to koī daar pe chaḌh kar māñge
raas aaya nahīñ ye ḳhāna-e-gulshan ab tak
zindagī mere liye aur koī ghar māñge
lazzat-e-dard se serī nahīñ hotī ab tak
dard kuchh aur sivā ye dil-e-muztar māñge
faiz baḳhshā hai kisī aur hī hastī ne tujhe
raushnī tujh se koī kyā shah-e-ḳhāvar māñge
shaukat-e-jāh-o-hasham ḳhaak ajal ke hāthoñ
dahr meñ phir koī kyoñ auj-e-sikandar māñge
haa.e us rāhī-e-pur-ġham kī shikasta-pā.ī
dāman-e-koh meñ jo baiTh ke patthar māñge
kaun samjhe tirī nairangī-e-qudrat yārab
sāhab-e-tāj hai koī koī dar-dar māñge
jam-e-jam mange na jamshed ka saghar mange
lutf ki ek nazar ye dil-e-muztar mange
shart hai ranj-o-ta’ab saKHti-e-dauran pahle
mangna ho to koi dar pe chaDh kar mange
ras aaya nahin ye KHana-e-gulshan ab tak
zindagi mere liye aur koi ghar mange
lazzat-e-dard se seri nahin hoti ab tak
dard kuchh aur siwa ye dil-e-muztar mange
faiz baKHsha hai kisi aur hi hasti ne tujhe
raushni tujh se koi kya shah-e-KHawar mange
shaukat-e-jah-o-hasham KHak ajal ke hathon
dahr mein phir koi kyon auj-e-sikandar mange
hae us rahi-e-pur-gham ki shikasta-pai
daman-e-koh mein jo baiTh ke patthar mange
kaun samjhe teri nairangi-e-qudrat yarab
sahab-e-taj hai koi koi dar-dar mange
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.