jam-e-jamshed ka aalam hai mere sine mein
Interesting Fact
(November 1942)
jām-e-jamshed kā aalam hai mire siine meñ
baat paidā hī nahīñ ye kisī ā.īne meñ
aañkh meñ shakl tirī nuur tirā siine meñ
aks ā.īne kā paḌtā rahā ā.īne meñ
hairatī sūrat-e-ā.īna banā baiThā huuñ
koī sūrat nazar aatī nahīñ ā.īne meñ
kījiye mujh pe zarā aur bhī hairat taarī
dekhiye aap mujhe baiTh ke ā.īne meñ
jāntā hai ki mai-e-talḳh hai sahbā-e-hayāt
haz har ik phir bhī uThātā hai use piine meñ
marne vāloñ se huī maut kī mushkil āsāñ
jiine vāloñ se madad kuchh na milī jiine meñ
nahīñ hotā hai rafū chāk-e-muqaddar har-chand
phir bhī masrūf hai har ek use siine meñ
mujh sā mahrūm-e-tamannā bhī na hogā koī
umr guzrī hai ḳhud apnā hī lahū piine meñ
ser āñkheñ raheñ kyā lutf niyat bhar jaa.e
dekhne meñ jo mazā hai vo nahīñ piine meñ
ā.ina-gar tirī ā.īna-garī jab dekhūñ
pusht-e-ā.īna bhī ā.īna ho ā.īne meñ
terī sūrat hī tire pesh-e-nazar rakhtā hai
naqs kyā ḳhaak nikāle koī ā.īne meñ
sher ban jaa.e mire lab pe jo naala aa.e
dard shāne se utar aa.e mire siine meñ
dekhne vaale bahar-rañg tujhe dekheñge
kabhī ā.īne se bāhar kabhī ā.īne meñ
tuur par hazrat-e-mūsā na jinheñ dekh sake
jalva-farmā haiñ vo anvār mire siine meñ
husn bandish hī nahīñ jauhar-e-tāsīr bhī hai
nahīñ kyā kuchh mire ash.ār ke ganjīne meñ
ḳhuun ho jaa.e na 'tālib' kahīñ ḳhuddārī kā
baal paḌ jaa.e na koī mire ā.īne meñ
jam-e-jamshed ka aalam hai mere sine mein
baat paida hi nahin ye kisi aaine mein
aankh mein shakl teri nur tera sine mein
aks aaine ka paDta raha aaine mein
hairati surat-e-aina bana baiTha hun
koi surat nazar aati nahin aaine mein
kijiye mujh pe zara aur bhi hairat tari
dekhiye aap mujhe baiTh ke aaine mein
jaanta hai ki mai-e-talKH hai sahba-e-hayat
haz har ek phir bhi uThata hai use pine mein
marne walon se hui maut ki mushkil aasan
jine walon se madad kuchh na mili jine mein
nahin hota hai rafu chaak-e-muqaddar har-chand
phir bhi masruf hai har ek use sine mein
mujh sa mahrum-e-tamanna bhi na hoga koi
umr guzri hai KHud apna hi lahu pine mein
ser aankhen rahen kya lutf niyat bhar jae
dekhne mein jo maza hai wo nahin pine mein
aaina-gar teri aaina-gari jab dekhun
pusht-e-aina bhi aaina ho aaine mein
teri surat hi tere pesh-e-nazar rakhta hai
naqs kya KHak nikale koi aaine mein
sher ban jae mere lab pe jo nala aae
dard shane se utar aae mere sine mein
dekhne wale bahar-rang tujhe dekhenge
kabhi aaine se bahar kabhi aaine mein
tur par hazrat-e-musa na jinhen dekh sake
jalwa-farma hain wo anwar mere sine mein
husn bandish hi nahin jauhar-e-tasir bhi hai
nahin kya kuchh mere ashaar ke ganjine mein
KHun ho jae na 'talib' kahin KHuddari ka
baal paD jae na koi mere aaine mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.