jam Khaali hain mai-e-nab kahan se laun
jam Khaali hain mai-e-nab kahan se laun
Nawab Moazzam Jah Shaji
MORE BYNawab Moazzam Jah Shaji
jaam ḳhālī haiñ mai-e-nāb kahāñ se lā.ūñ
aap kā dīda-e-pur-āb kahāñ se lā.ūñ
kah sakūñ un kī nigāhoñ kā tabassum jis ko
ek aisā dil-e-be-tāb kahāñ se lā.ūñ
ishq ḳhud apnī jagah par hai mukammal lekin
husn kā jauhar-e-nāyāb kahāñ se lā.ūñ
sāmnā tum se mohabbat meñ jo ho jaa.e kabhī
ik nayā ālam-e-asbāb kahāñ se lā.ūñ
ka.aba-o-dair kī rāhoñ se guzar jaatā huuñ
mahfil-e-nāz ke ādāb kahāñ se lā.ūñ
ek hī baar nasheman pe girī hai bijlī
bārhā gulshan-e-shādāb kahāñ se lā.ūñ
jo kabhī un kī tavajjoh kā natīja thī 'shajī.a'
phir vahī kaifiyat-e-ḳhvāb kahāñ se lā.ūñ
jam KHali hain mai-e-nab kahan se laun
aap ka dida-e-pur-ab kahan se laun
kah sakun un ki nigahon ka tabassum jis ko
ek aisa dil-e-be-tab kahan se laun
ishq KHud apni jagah par hai mukammal lekin
husn ka jauhar-e-nayab kahan se laun
samna tum se mohabbat mein jo ho jae kabhi
ek naya aalam-e-asbab kahan se laun
kaba-o-dair ki rahon se guzar jata hun
mahfil-e-naz ke aadab kahan se laun
ek hi bar nasheman pe giri hai bijli
barha gulshan-e-shadab kahan se laun
jo kabhi un ki tawajjoh ka natija thi 'shajia'
phir wahi kaifiyat-e-KHwab kahan se laun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.