jam na gin pilae ja hosh mein jab talak hain hum
jī meñ hai toḌ deñ subū aur girā deñ jaam ye
tū hī nahīñ to kis liye aa.ī hai aaj shaam ye
jaam na gin pilā.e jā hosh meñ jab talak haiñ ham
tujh ko na bhaa.e sāqiyā mohtasiboñ kā kaam ye
vaqt-e-vidā' sāqiyā rind tire kareñ du'ā
ḳhum ye sadā bhare raheñ daur chaleñ mudām ye
maiñ ne ise jiyā bhī hai harf hai jo raqam kiyā
ziist se merī hai juḌā merā hai jo kalām ye
fikr-e-suḳhan se kyā milā bol kisī ko ai 'sadā'
fikr-e-ma'āsh kar zarā chhoḌ ke ab tū kaam ye
ji mein hai toD den subu aur gira den jam ye
tu hi nahin to kis liye aai hai aaj sham ye
jam na gin pilae ja hosh mein jab talak hain hum
tujh ko na bhae saqiya mohtasibon ka kaam ye
waqt-e-wida' saqiya rind tere karen du'a
KHum ye sada bhare rahen daur chalen mudam ye
main ne ise jiya bhi hai harf hai jo raqam kiya
zist se meri hai juDa mera hai jo kalam ye
fikr-e-suKHan se kya mila bol kisi ko ai 'sada'
fikr-e-ma'ash kar zara chhoD ke ab tu kaam ye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.