jaan aati hai tere aane se
jaan aatī hai tere aane se
Dūbtā jī hai tere jaane se
mushkileñ Taltīñ to nahīñ lekin
dil bahaltā hai muskurāne se
dekhī jis jis ne bhī jhalak terī
be-ḳhabar ho gayā zamāne se
karbalā meñ 'ajīb manzar thā
raushnī thī diyā bujhāne se
jism meñ qaid ruuh pūchhe hai
kab rihā.ī ho qaid-ḳhāne se
baañT detā huuñ maiñ sabhī ḳhushiyāñ
ġham nahīñ detā maiñ ḳhazāne se
mar gayā hai jo hijr meñ tere
kyā maregā vo jaan jaane se
yaar ik baat to batā āḳhir
kyā milegā ye dil dikhāne se
mere jazbāt mar chuke haiñ so ab
tum dukhī hoge āzmāne se
farsh ko 'arsh jo banāte haiñ
'ishq hai mujh ko us gharāne se
maiñ ne is tarh jī ujāḌā hai
ab nahīñ bastā ye basāne se
ho ga.ī hai jadīd ye duniyā
aur ham log haiñ purāne se
maiñ ne koshish bahut kī hai lekin
yaad miTtī nahīñ miTāne se
ham ne bīmār ho ke bhī dekhā
tum na aa.e kabhī bahāne se
raat kaTtī hai ratjagoñ kī ab
hijr ke giit gungunāne se
jaan aati hai tere aane se
Dubta ji hai tere jaane se
mushkilen Taltin to nahin lekin
dil bahalta hai muskurane se
dekhi jis jis ne bhi jhalak teri
be-KHabar ho gaya zamane se
karbala mein 'ajib manzar tha
raushni thi diya bujhane se
jism mein qaid ruh puchhe hai
kab rihai ho qaid-KHane se
banT deta hun main sabhi KHushiyan
gham nahin deta main KHazane se
mar gaya hai jo hijr mein tere
kya marega wo jaan jaane se
yar ek baat to bata aaKHir
kya milega ye dil dikhane se
mere jazbaat mar chuke hain so ab
tum dukhi hoge aazmane se
farsh ko 'arsh jo banate hain
'ishq hai mujh ko us gharane se
main ne is tarh ji ujaDa hai
ab nahin basta ye basane se
ho gai hai jadid ye duniya
aur hum log hain purane se
main ne koshish bahut ki hai lekin
yaad miTti nahin miTane se
hum ne bimar ho ke bhi dekha
tum na aae kabhi bahane se
raat kaTti hai ratjagon ki ab
hijr ke git gungunane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.