jaan apni chali jae hai jae se kisu ke
jaan apni chali jae hai jae se kisu ke
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi
jaan apnī chalī jaa.e hai jaa.e se kisū ke
aur jaan meñ jaan aa.e hai aa.e se kisū ke
vo aag lagī paan chabā.e se kisū ke
ab tak nahīñ bujhtī hai bujhā.e se kisū ke
bujhne de zarā ātish-e-dil aur na bhaḌkā
mehñdī na lagā yaar lagā.e se kisū ke
kyā soiye phir ġhul hai dar-e-yār pe shāyad
chauñkā hai vo zanjīr hilā.e se kisū kī
kah do na uThā.e vo mujhe paas se apne
jī baiThā hī jaatā hai uThā.e se kisū kī
jab maiñ ne kahā aa.iye man jā.egī bolī
ham aur bhī rūTheñge manā.e se kisū kī
chuppī meñ jo kuchh baat kī maiñ ne to ye bolī
ham to nahīñ dabne kī dabā.e se kisū kī
yaaro na charāġh aur na maiñ sham' huuñ lekin
har shaam ko jaltā huuñ jalā.e se kisū kī
paatā nahīñ ghar us kā samajhtā hī nahīñ maiñ
us bait ke mā'nī bhī batā.e se kisū kī
jab us se kahā merī sifārish meñ kisū ne
hāsil bhī rulā.e se kuḌhā.e se kisū kī
ik ta.an se ye hañs ke lagā kahne ki be-shak
ham rolte motī haiñ rulā.e se kisū kī
kahtā hai ki 'ehsāñ' na kahegā to sunegā
matla' ye kahā maiñ ne kahā.e se kisū kī
jaan apni chali jae hai jae se kisu ke
aur jaan mein jaan aae hai aae se kisu ke
wo aag lagi pan chabae se kisu ke
ab tak nahin bujhti hai bujhae se kisu ke
bujhne de zara aatish-e-dil aur na bhaDka
mehndi na laga yar lagae se kisu ke
kya soiye phir ghul hai dar-e-yar pe shayad
chaunka hai wo zanjir hilae se kisu ki
kah do na uThae wo mujhe pas se apne
ji baiTha hi jata hai uThae se kisu ki
jab main ne kaha aaiye man jaegi boli
hum aur bhi ruThenge manae se kisu ki
chuppi mein jo kuchh baat ki main ne to ye boli
hum to nahin dabne ki dabae se kisu ki
yaro na charagh aur na main sham' hun lekin
har sham ko jalta hun jalae se kisu ki
pata nahin ghar us ka samajhta hi nahin main
us bait ke ma'ni bhi batae se kisu ki
jab us se kaha meri sifarish mein kisu ne
hasil bhi rulae se kuDhae se kisu ki
ek tan se ye hans ke laga kahne ki be-shak
hum rolte moti hain rulae se kisu ki
kahta hai ki 'ehsan' na kahega to sunega
matla' ye kaha main ne kahae se kisu ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.