jaan de kar bhi tere wahshi ko shikwa na hua
jaan de kar bhi tere wahshi ko shikwa na hua
Ghulam Mohammad Vamiq
MORE BYGhulam Mohammad Vamiq
jaan de kar bhī tire vahshī ko shikva na huā
lākhoñ bismil the magar koī bhī ham sā na huā
baa'd marne ke to sab ko hī bhalā kahte haiñ
zindagī-bhar to yahāñ koī bhī apnā na huā
mujh ko ghere hī rahā tere ḳhayāloñ kā hujūm
maiñ to vīrānoñ meñ rah kar bhī akelā na huā
merī qismat meñ kahāñ mahloñ ke saa.e yaaro
mere sar par to mire ghar kā bhī saaya na huā
log shahroñ meñ bhī rahte hue Dar jaate haiñ
tere dīvāne ko sahrā meñ bhī ḳhatra na huā
'iid hai diid agar diid nahīñ 'iid nahīñ
merī kyā 'iid agar terā nazāra na huā
rū-barū us ke jo chūmā thā kabhī phūloñ ko
haa.e us shoḳh kā ġhussa hai ki ThanDā na huā
yahāñ majnūñ kabhī farhād bhī guzrā 'vāmiq'
un meñ dīvāna magar koī bhī ham sā na huā
jaan de kar bhi tere wahshi ko shikwa na hua
lakhon bismil the magar koi bhi hum sa na hua
ba'd marne ke to sab ko hi bhala kahte hain
zindagi-bhar to yahan koi bhi apna na hua
mujh ko ghere hi raha tere KHayalon ka hujum
main to viranon mein rah kar bhi akela na hua
meri qismat mein kahan mahlon ke sae yaro
mere sar par to mere ghar ka bhi saya na hua
log shahron mein bhi rahte hue Dar jate hain
tere diwane ko sahra mein bhi KHatra na hua
'id hai did agar did nahin 'id nahin
meri kya 'id agar tera nazara na hua
ru-baru us ke jo chuma tha kabhi phulon ko
hae us shoKH ka ghussa hai ki ThanDa na hua
yahan majnun kabhi farhad bhi guzra 'wamiq'
un mein diwana magar koi bhi hum sa na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.