jaan-e-husn aur kaenat-e-rang-o-bu kya chiz hai
jaan-e-husn aur kaenat-e-rang-o-bu kya chiz hai
Zaki Tariq Barabankavi
MORE BYZaki Tariq Barabankavi
jān-e-husn aur kā.enāt-e-rang-o-bū kyā chiiz hai
terī qurbat kah ga.ī ai yaar tū kyā chiiz hai
vasl kī be-intihā sarmastiyoñ se pūchh lo
ki surūr-ārā husūl-e-justujū kyā chiiz hai
jaan jāoge tumhārā bhī kabhī TuuTā jo dil
ki ġham-o-dard-e-shikast-e-ārzū kyā chiiz hai
jitnī dilbar kī mire shakl-o-shamā.il hai hasīñ
itnī dilkash aur itnī ḳhūb-rū kyā chiiz hai
kaif se labrez us kī chashm-gīñ ke sāmne
sāqiyā terā ye mai-parvar subū kyā chiiz hai
chāñd hai sūraj hai phūl-o-ḳhushbū hai yā hai dhanak
bolo merī jānāñ jaisī hū-ba-hū kyā chiiz hai
mujh se mat pūchho kisī se dil lagā kar dosto
jaan lo āvārgī-e-kū-ba-kū kyā chiiz hai
maiñ ḳhamoshī ko hī behtar jāntā thā ai 'zakī'
un se bāteñ karke samjhā guftugū kyā chiiz hai
jaan-e-husn aur kaenat-e-rang-o-bu kya chiz hai
teri qurbat kah gai ai yar tu kya chiz hai
wasl ki be-intiha sarmastiyon se puchh lo
ki surur-ara husul-e-justuju kya chiz hai
jaan jaoge tumhaara bhi kabhi TuTa jo dil
ki gham-o-dard-e-shikast-e-arzu kya chiz hai
jitni dilbar ki mere shakl-o-shamail hai hasin
itni dilkash aur itni KHub-ru kya chiz hai
kaif se labrez us ki chashm-gin ke samne
saqiya tera ye mai-parwar subu kya chiz hai
chand hai suraj hai phul-o-KHushbu hai ya hai dhanak
bolo meri jaanan jaisi hu-ba-hu kya chiz hai
mujh se mat puchho kisi se dil laga kar dosto
jaan lo aawargi-e-ku-ba-ku kya chiz hai
main KHamoshi ko hi behtar jaanta tha ai 'zaki'
un se baaten karke samjha guftugu kya chiz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.