jaan jati hai meri un ko KHabar kuchh bhi nahin
jaan jati hai meri un ko KHabar kuchh bhi nahin
Munshi Shiv Parshad Wahbi
MORE BYMunshi Shiv Parshad Wahbi
jaan jaatī hai mirī un ko ḳhabar kuchh bhī nahīñ
tujh meñ o nāla-e-jāñ-soz asar kuchh bhī nahīñ
teġh-e-abrū vo dikhā kar yahī farmāte haiñ
us ke aage jo na ho sīna-sipar kuchh bhī nahīñ
hālat-e-naza.a meñ tum aa.e ho kyūñkar dekhūñ
nuur āñkhoñ meñ ab ai nūr-e-nazar kuchh bhī nahīñ
go ḳhatā.eñ nahīñ haiñ kuchh mirī par sab kuchh haiñ
zulm-o-jaur aap ke sab kuchh haiñ magar kuchh bhī nahīñ
tap-e-furqat ne yahāñ apnā kiyā kaam tamām
be-ḳhabar aaj talak tujh ko ḳhabar kuchh bhī nahīñ
rāt-din us ruḳh-o-gesū kā tasavvur hai mujhe
mashġhala is ke sivā shām-o-sahar kuchh bhī nahīñ
aarzī husn pe nāzāñ haiñ abas ye mahvash
raat bhar nuur kā aalam hai sahar kuchh bhī nahīñ
manzil-e-gor meñ kyā dekhiye ham par guzre
ġham-e-isyāñ ke sivā zād-e-safar kuchh bhī nahīñ
kyoñ yam-e-ashk meñ tū ne na Duboyā mujh ko
aabrū ab tirī o dīda-e-tar kuchh bhī nahīñ
hai bajā hech jo samjhe haiñ use sab shā.ir
ġhaur se dekhte haiñ to vo kamar kuchh bhī nahīñ
ālam-e-ḳhvāb meñ kis tarah jahāñ ko samjhūñ
kyoñ ye sab kuchh nazar aatā hai agar kuchh bhī nahīñ
āshiqī kar ke na phal pāoge hargiz 'vahbī'
naḳhl-e-ulfat meñ ba-juz dāġh-e-samar kuchh bhī nahīñ
jaan jati hai meri un ko KHabar kuchh bhi nahin
tujh mein o nala-e-jaan-soz asar kuchh bhi nahin
tegh-e-abru wo dikha kar yahi farmate hain
us ke aage jo na ho sina-sipar kuchh bhi nahin
haalat-e-naza mein tum aae ho kyunkar dekhun
nur aankhon mein ab ai nur-e-nazar kuchh bhi nahin
go KHataen nahin hain kuchh meri par sab kuchh hain
zulm-o-jaur aap ke sab kuchh hain magar kuchh bhi nahin
tap-e-furqat ne yahan apna kiya kaam tamam
be-KHabar aaj talak tujh ko KHabar kuchh bhi nahin
raat-din us ruKH-o-gesu ka tasawwur hai mujhe
mashghala is ke siwa sham-o-sahar kuchh bhi nahin
aarzi husn pe nazan hain abas ye mahwash
raat bhar nur ka aalam hai sahar kuchh bhi nahin
manzil-e-gor mein kya dekhiye hum par guzre
gham-e-isyan ke siwa zad-e-safar kuchh bhi nahin
kyon yam-e-ashk mein tu ne na Duboya mujh ko
aabru ab teri o dida-e-tar kuchh bhi nahin
hai baja hech jo samjhe hain use sab shair
ghaur se dekhte hain to wo kamar kuchh bhi nahin
aalam-e-KHwab mein kis tarah jahan ko samjhun
kyon ye sab kuchh nazar aata hai agar kuchh bhi nahin
aashiqi kar ke na phal paoge hargiz 'wahbi'
naKHl-e-ulfat mein ba-juz dagh-e-samar kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.