jaan ka dushman hai magar jaan se pyara bhi hai
jaañ kā dushman hai magar jaan se pyārā bhī hai
aisā is 'ahd meñ ik shaḳhs hamārā bhī hai
jāgtī āñkhoñ ne dekhe haiñ tire ḳhvāb ai jaañ
aur nīñdoñ meñ tirā naam pukārā bhī hai
vo burā vaqt ki jab saath na ho saaya bhī
ham ne hañs hañs ke ka.ī baar guzārā bhī hai
jis ne mañjdhār meñ chhoḌā use mā'lūm nahīñ
Dūbne vaale ko tinke kā sahārā bhī hai
mat luTā denā zamāne pe hī saarī ḳhairāt
muntazir haath meñ kashkol hamārā bhī hai
naam sun kar mirā us lab pe tabassum hai 'ziyā'
aur palkoñ pe utar aayā sitāra bhī hai
jaan ka dushman hai magar jaan se pyara bhi hai
aisa is 'ahd mein ek shaKHs hamara bhi hai
jagti aankhon ne dekhe hain tere KHwab ai jaan
aur nindon mein tera nam pukara bhi hai
wo bura waqt ki jab sath na ho saya bhi
hum ne hans hans ke kai bar guzara bhi hai
jis ne manjdhaar mein chhoDa use ma'lum nahin
Dubne wale ko tinke ka sahaara bhi hai
mat luTa dena zamane pe hi sari KHairaat
muntazir hath mein kashkol hamara bhi hai
nam sun kar mera us lab pe tabassum hai 'ziya'
aur palkon pe utar aaya sitara bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.