jaan-kani ki to aashnai ki
jāñ-kanī kī to āshnā.ī kī
yuuñ shab-e-vasl tak rasā.ī kī
ġhair ko muñh lagāyā kab maiñ ne
dekhnā ḳhuub pārsā.ī kī
shaiḳh kī taar taar pagḌī dekh
'ishq ne 'aql se laḌā.ī kī
tū ne dil haath meñ mirā le kar
jā-ba-jā mujh pe hai ḳhudā.ī kī
hijr meñ sub.h tak are nāḳhun
ham se tū ne jigar-khudā.ī kī
ban ga.e 'jogī' ham sharāfat se
un se chup-chāp dilrubā.ī kī
hai talab daad kī nahīñ nādān
ham ne yuuñ hī ġhazal-sarā.ī kī
muḳhtasar haal thā bayāñ karnā
'jogī' ne dāstāñ-sarā.ī kī
jaan-kani ki to aashnai ki
yun shab-e-wasl tak rasai ki
ghair ko munh lagaya kab main ne
dekhna KHub parsai ki
shaiKH ki tar tar pagDi dekh
'ishq ne 'aql se laDai ki
tu ne dil hath mein mera le kar
ja-ba-ja mujh pe hai KHudai ki
hijr mein subh tak are naKHun
hum se tu ne jigar-khudai ki
ban gae 'jogi' hum sharafat se
un se chup-chap dilrubai ki
hai talab dad ki nahin nadan
hum ne yun hi ghazal-sarai ki
muKHtasar haal tha bayan karna
'jogi' ne dastan-sarai ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.