jaan kar us pe dil-o-jaan hain haare humne
jaan kar us pe dil-o-jān haiñ haare ham ne
'ishq meñ kar liye haiñ ḳhud hī ḳhasāre ham ne
ham ko mā'lūm hai ehsās-e-judā.ī kyā hai
log kho.e haiñ ka.ī jaan se pyāre ham ne
dil ke bīmāroñ ko samjhānā paḌā hai mahñgā
aur bhaḌkā diye haiñ bujhte sharāre ham ne
sāhib-e-taḳht yuuñ hī ham na hue haiñ logo
bārhā jang ke maidān haiñ haare ham ne
so ga.e bhuuk kī shiddat se shikam thāme ham
vaqt aise bhī ka.ī baar guzāre ham ne
bachpanā lipTā hai paivand lage kapḌoñ meñ
ye hī paa.e haiñ faqat chāñd sitāre ham ne
jaan kar us pe dil-o-jaan hain haare hum ne
'ishq mein kar liye hain KHud hi KHasare hum ne
hum ko ma'lum hai ehsas-e-judai kya hai
log khoe hain kai jaan se pyare hum ne
dil ke bimaron ko samjhana paDa hai mahnga
aur bhaDka diye hain bujhte sharare hum ne
sahib-e-taKHt yun hi hum na hue hain logo
barha jang ke maidan hain haare hum ne
so gae bhuk ki shiddat se shikam thame hum
waqt aise bhi kai bar guzare hum ne
bachpana lipTa hai paiwand lage kapDon mein
ye hi pae hain faqat chand sitare hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.