Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaan ke usne yun na paDha ho ye bhi to ho sakta hai

Shabnam Naqvi

jaan ke usne yun na paDha ho ye bhi to ho sakta hai

Shabnam Naqvi

MORE BYShabnam Naqvi

    jaan ke us ne yuuñ na paḌhā ho ye bhī to ho saktā hai

    merī ġhazal vo maqtā ho ye bhī to ho saktā hai

    rang-e-hinā meñ ḳhūn-e-vafā ho ye bhī to ho saktā hai

    aaj bhī us zaḳhm harā ho ye bhī to ho saktā hai

    tark-e-vafā baat na pūchho dil ke hazāroñ pahlū haiñ

    ba.ad meñ vo bhī pachhtāyā ho ye bhī to ho saktā hai

    bāhar bāhar ḳhāmoshī hai lekin is ḳhāmoshī meñ

    andar andar shor machā ho ye bhī to ho saktā hai

    palkeñ haiñ kuchh bhārī bhārī utrā utrā hai chehra

    raat ko vo bhī so na sakā ho ye bhī to ho saktā hai

    jab bhī dekho us patthar par kaa.ī jamī rahtī hai

    us ke nīche ik chashma ho ye bhī to ho saktā hai

    niiñd nahīñ kyuuñ aatī 'shabnam' raat guzartī jaatī hai

    shāyad vo bhī jaag rahā ho ye bhī to ho saktā hai

    jaan ke us ne yun na paDha ho ye bhi to ho sakta hai

    meri ghazal ka wo maqta ho ye bhi to ho sakta hai

    rang-e-hina mein KHun-e-wafa ho ye bhi to ho sakta hai

    aaj bhi us ka zaKHm hara ho ye bhi to ho sakta hai

    tark-e-wafa ki baat na puchho dil ke hazaron pahlu hain

    baad mein wo bhi pachhtaya ho ye bhi to ho sakta hai

    bahar bahar KHamoshi hai lekin is KHamoshi mein

    andar andar shor macha ho ye bhi to ho sakta hai

    palken hain kuchh bhaari bhaari utra utra hai chehra

    raat ko wo bhi so na saka ho ye bhi to ho sakta hai

    jab bhi dekho us patthar par kai jami si rahti hai

    us ke niche ek chashma ho ye bhi to ho sakta hai

    nind nahin kyun aati 'shabnam' raat guzarti jati hai

    shayad wo bhi jag raha ho ye bhi to ho sakta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now