jaan lab par aa gai furqat mein bas ghabra chuke
jaan lab par aa gai furqat mein bas ghabra chuke
Nawab Nazeer Al-Daula
MORE BYNawab Nazeer Al-Daula
jaan lab par aa ga.ī furqat meñ bas ghabrā chuke
ab vo aa.eñ yā na aa.eñ ham to jī se jā chuke
nāz-o-andāz-o-adā ko kaam tum farmā chuke
khol kar band ab lipaT jaao bahut sharmā chuke
us ke aane kī na Thahrī sau tarah ġham khā chuke
jaan hai jaa.e kahīñ qissa miTe jhagḌā chuke
intizār un kā abas ai dil hai bas vo aa chuke
ḳhat jo bheje the javāb-e-sāf qāsid lā chuke
khīñch kar aaheñ munaġhġhas us ko kar detā hai tū
yaar ko sad baar ai dil ham manā kar lā chuke
phaaḌ kar kapḌe chale sahrā ko ham vahshat-zada
nik.hat-e-gul kī tarah ham phir ke ghar ko aa chuke
jab na ik bosa hī do tum aur na ik dushnām do
dil tumheñ kyūñkar mile aur is kī qīmat kyā chuke
mujh ko ta.ana aur mah-rūyoñ se milne kā diyā
maiñ bhī ab kuchh arz kar luuñ aap to farmā chuke
thā hijāb-e-ishq maane varna shab ko vasl meñ
haath un paañv talak sau baar ham pahuñchā chuke
dam ulaTtā hai mirā ruḳh se ulaT diije naqāb
be-hijābī se tasallī kījiye sharmā chuke
apne is dīvāna-pan se dil na baaz aaya kabhī
qaid zindāñ meñ rakhā zanjīr tak pahnā chuke
juuñ qafas sad-chāk dil hai hasrat-e-parvāz se
murġh-e-gul kā shāḳh-e-gul se ham qafas laTkā chuke
vasl kī shab hai kaf-e-pā apne sahlāne to do
hijr meñ ham se kaf-e-afsos to malvā chuke
haa.e us gul ne na kī is dil kī chāhat par nazar
zaḳhm khaa.e tan pe lākhoñ saikḌoñ gul khā chuke
nā-tavānī kā bahāna gah kiyā gah maut kā
un ke rah jaane ko ham to svāñg lākhoñ lā chuke
us ne par rahne na ham ko vaañ diyā kyā kījiye
paañv kis kis tarah us ke dar pe ham phailā chuke
said-e-ma.anī koī 'daula' apne haath aatā nahīñ
tausan-e-fikr apnā is maidāñ meñ ham dauḌā chuke
jaan lab par aa gai furqat mein bas ghabra chuke
ab wo aaen ya na aaen hum to ji se ja chuke
naz-o-andaz-o-ada ko kaam tum farma chuke
khol kar band ab lipaT jao bahut sharma chuke
us ke aane ki na Thahri sau tarah gham kha chuke
jaan hai jae kahin qissa miTe jhagDa chuke
intizar un ka abas ai dil hai bas wo aa chuke
KHat jo bheje the jawab-e-saf qasid la chuke
khinch kar aahen munaghghas us ko kar deta hai tu
yar ko sad bar ai dil hum mana kar la chuke
phaD kar kapDe chale sahra ko hum wahshat-zada
nikhat-e-gul ki tarah hum phir ke ghar ko aa chuke
jab na ek bosa hi do tum aur na ek dushnam do
dil tumhein kyunkar mile aur is ki qimat kya chuke
mujh ko tana aur mah-ruyon se milne ka diya
main bhi ab kuchh arz kar lun aap to farma chuke
tha hijab-e-ishq mane warna shab ko wasl mein
hath un panw talak sau bar hum pahuncha chuke
dam ulaTta hai mera ruKH se ulaT dije naqab
be-hijabi se tasalli kijiye sharma chuke
apne is diwana-pan se dil na baz aaya kabhi
qaid zindan mein rakha zanjir tak pahna chuke
jun qafas sad-chaak dil hai hasrat-e-parwaz se
murgh-e-gul ka shaKH-e-gul se hum qafas laTka chuke
wasl ki shab hai kaf-e-pa apne sahlane to do
hijr mein hum se kaf-e-afsos to malwa chuke
hae us gul ne na ki is dil ki chahat par nazar
zaKHm khae tan pe lakhon saikDon gul kha chuke
na-tawani ka bahana gah kiya gah maut ka
un ke rah jaane ko hum to swang lakhon la chuke
us ne par rahne na hum ko wan diya kya kijiye
panw kis kis tarah us ke dar pe hum phaila chuke
said-e-mani koi 'daula' apne hath aata nahin
tausan-e-fikr apna is maidan mein hum dauDa chuke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.