jaan mushkil mein hai pata to chale
jaan mushkil meñ hai patā to chale
kyā tire dil meñ hai patā to chale
kis kī ārām se guzartī hai
kaun mushkil meñ hai patā to chale
tazkira kyā hamāre hī ġham kā
un kī mahfil meñ hai patā to chale
tiir ḳhanjar ki zahr yā kuchh aur
dast-e-qātil meñ hai patā to chale
kārvāñ luT gayā hai yā ab bhī
rāh-e-manzil meñ hai patā to chale
tū hī apnī zabāñ se kah denā
jo tire dil meñ hai patā to chale
dil-e-'hairat' jab un ke paas nahīñ
kaun se dil meñ hai patā to chale
jaan mushkil mein hai pata to chale
kya tere dil mein hai pata to chale
kis ki aaram se guzarti hai
kaun mushkil mein hai pata to chale
tazkira kya hamare hi gham ka
un ki mahfil mein hai pata to chale
tir KHanjar ki zahr ya kuchh aur
dast-e-qatil mein hai pata to chale
karwan luT gaya hai ya ab bhi
rah-e-manzil mein hai pata to chale
tu hi apni zaban se kah dena
jo tere dil mein hai pata to chale
dil-e-'hairat' jab un ke pas nahin
kaun se dil mein hai pata to chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.