jaan-o-dil tujh pe luTane ko ye tayyar bhi hai
jān-o-dil tujh pe luTāne ko ye tayyār bhī hai
ishq ḳhud.dār sahī ishq vafādār bhī hai
ye to taslīm ki duniyā hai jahannum lekin
is ko firdaus bhī kahiye ki yahāñ pyaar bhī hai
yūsuf-e-vaqt kā chaltā nahīñ kyoñ aaj pata
hai zuleḳhā bhī yahāñ misr kā bāzār bhī hai
vaqt bahtā huā dariyā hai bahut tez-ḳhirām
mere hāthoñ meñ magar vaqt kī raftār bhī hai
chuum leñ shauq se ham chehra-e-lailā-e-hayāt
rū-e-gulnār bhī hai chashm-e-fusūñ-kār bhī hai
sāmne aañkh ke ik bhiiḌ hai insānoñ kī
saare majma.a meñ koī sāhib-e-kirdār bhī hai
sharm-e-isyāñ bhī hai aur ḳhauf-e-sazā bhī dil meñ
sāf-bātin hai vahī jo ki gunahgār bhī hai
isī vīrāne ko majnūñ kī nazar se dekheñ
yahī vīrāna nazar aatā chaman-zār bhī hai
jis ko dekho vahī mansūr banā phirtā hai
daur-e-haq-goī se ḳhauf-e-rasan-o-dār bhī hai
tū ne sochā bhī na hogā shab-e-furqat ke liye
chāhne vāloñ meñ us ke tirā 'muḳhtār' bhī hai
jaan-o-dil tujh pe luTane ko ye tayyar bhi hai
ishq KHuddar sahi ishq wafadar bhi hai
ye to taslim ki duniya hai jahannum lekin
is ko firdaus bhi kahiye ki yahan pyar bhi hai
yusuf-e-waqt ka chalta nahin kyon aaj pata
hai zuleKHa bhi yahan misr ka bazar bhi hai
waqt bahta hua dariya hai bahut tez-KHiram
mere hathon mein magar waqt ki raftar bhi hai
chum len shauq se hum chehra-e-laila-e-hayat
ru-e-gulnar bhi hai chashm-e-fusun-kar bhi hai
samne aankh ke ek bhiD hai insanon ki
sare majma mein koi sahib-e-kirdar bhi hai
sharm-e-isyan bhi hai aur KHauf-e-saza bhi dil mein
saf-baatin hai wahi jo ki gunahgar bhi hai
isi virane ko majnun ki nazar se dekhen
yahi virana nazar aata chaman-zar bhi hai
jis ko dekho wahi mansur bana phirta hai
daur-e-haq-goi se KHauf-e-rasan-o-dar bhi hai
tu ne socha bhi na hoga shab-e-furqat ke liye
chahne walon mein us ke tera 'muKHtar' bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.