Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaan rahe nochte hayat ke dukh

Zafar Rabab

jaan rahe nochte hayat ke dukh

Zafar Rabab

MORE BYZafar Rabab

    jaañ rahe nochte hayāt ke dukh

    zaat ke aur kā.enāt ke dukh

    kuchh bigāḌā na vaqt ne in

    haiñ javāñ ab bhī mere saath ke dukh

    roz-marra ban ga.e ma.amūl

    roz-marra muāmalāt ke dukh

    fatah ne bhī shikast-o-reḳht

    jiit se munsalik the maat ke dukh

    rah gayā ab junūñ kam-āmez

    ishq meñ to haiñ baat baat ke dukh

    ham ġharīboñ ke roz-o-shab na pūchh

    din meñ bhī jāgte haiñ raat ke dukh

    TūTne meñ āfiyat thī 'rabāb'

    jheltā kaun ehtiyāt ke dukh

    jaan rahe nochte hayat ke dukh

    zat ke aur kaenat ke dukh

    kuchh bigaDa na waqt ne in ka

    hain jawan ab bhi mere sath ke dukh

    roz-marra ka ban gae mamul

    roz-marra muamalat ke dukh

    fatah ne bhi shikast-o-reKHt hi di

    jit se munsalik the mat ke dukh

    rah gaya ab junun hi kam-amez

    ishq mein to hain baat baat ke dukh

    hum gharibon ke roz-o-shab na puchh

    din mein bhi jagte hain raat ke dukh

    TuTne mein hi aafiyat thi 'rabab'

    jhelta kaun ehtiyat ke dukh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now