jaan se jate rahe jaan se jaana na gaya
jaan se jaate rahe jaan se jaanā na gayā
dil gayā ishq meñ par dil kā lagānā na gayā
maut ke baad bhī ik bojh uThā rakkhā hai
sar to jaanā hī thā par haif ki shānā na gayā
kal farishtoñ ne bahut khīñchā pakaḌ kar dāman
chhoḌ kar tujh ko magar terā divāna na gayā
aaj bhī aa ke vo āñkhoñ meñ chahak uThtā hai
gulshan-e-dil se kabhī terā zamāna na gayā
le ke añgḌā.ī qayāmat ne badal dī duniyā
vaqt ke lab se magar merā fasāna na gayā
is tarah donoñ ta.alluq kā bharam rakhte rahe
rūThnā us kā bhī apnā bhī manānā na gayā
us ke nāḳhūn kī ra.anā.ī batā detī hai
us kī aadat se abhī dil kā dukhānā na gayā
ye alag baat ke qudrat ne palaT dī baazī
faisla ishq ke haq meñ kabhī maanā na gayā
ibtidā se ye hai dastūr zamāne kā 'nadīm'
dil ko samjhā na gayā dard ko jaanā na gayā
jaan se jate rahe jaan se jaana na gaya
dil gaya ishq mein par dil ka lagana na gaya
maut ke baad bhi ek bojh uTha rakkha hai
sar to jaana hi tha par haif ki shana na gaya
kal farishton ne bahut khincha pakaD kar daman
chhoD kar tujh ko magar tera diwana na gaya
aaj bhi aa ke wo aankhon mein chahak uThta hai
gulshan-e-dil se kabhi tera zamana na gaya
le ke angDai qayamat ne badal di duniya
waqt ke lab se magar mera fasana na gaya
is tarah donon talluq ka bharam rakhte rahe
ruThna us ka bhi apna bhi manana na gaya
us ke naKHun ki ranai bata deti hai
us ki aadat se abhi dil ka dukhana na gaya
ye alag baat ke qudrat ne palaT di bazi
faisla ishq ke haq mein kabhi mana na gaya
ibtida se ye hai dastur zamane ka 'nadim'
dil ko samjha na gaya dard ko jaana na gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.