jaan se khel gaya ek diwana aaKHir
jaan se khel gayā ek divāna āḳhir
kab talak yūñhī sar-e-bazm sisaktā āḳhir
aa ke ik baar dikhā dījiye chehra āḳhir
sirf baaqī hai yahī dil meñ tamanna āḳhir
bas isī soch meñ din-rāt nikal jaate haiñ
kaise hal hogā mire dil kā mu'ammā āḳhir
maiñ ne maanā ki vo har baat ko mānegā magar
dil ko samjhāne kā bhī aa.e tarīqa āḳhir
ik na ik roz to jaanā hī paḌegā 'tāriq'
ḳhatm ho jā.egā ik roz ye jalva āḳhir
jaan se khel gaya ek diwana aaKHir
kab talak yunhi sar-e-bazm sisakta aaKHir
aa ke ek bar dikha dijiye chehra aaKHir
sirf baqi hai yahi dil mein tamanna aaKHir
bas isi soch mein din-raat nikal jate hain
kaise hal hoga mere dil ka mu'amma aaKHir
main ne mana ki wo har baat ko manega magar
dil ko samjhane ka bhi aae tariqa aaKHir
ek na ek roz to jaana hi paDega 'tariq'
KHatm ho jaega ek roz ye jalwa aaKHir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.