jaan tanha azab kitne hain
jaan tanhā azaab kitne haiñ
mujh pe utre itaab kitne haiñ
dil lagā kar milī hai rusvā.ī
maiñ ye samjhā savāb kitne haiñ
ai musāfir zarā dhiyān rahe
rāste meñ sarāb kitne haiñ
hijr kī aag meñ jale haiñ jo
mujh se ḳhāna-ḳharāb kitne haiñ
bas tire intizār meñ sūkhe
yaad ke ab gulāb kitne haiñ
jin kī ta.abīr hī nahīñ kuchh bhī
vo suhāne se ḳhvāb kitne haiñ
is jahāñ meñ har ik qadam 'shahzād'
lene vaale hisāb kitne haiñ
jaan tanha azab kitne hain
mujh pe utre itab kitne hain
dil laga kar mili hai ruswai
main ye samjha sawab kitne hain
ai musafir zara dhiyan rahe
raste mein sarab kitne hain
hijr ki aag mein jale hain jo
mujh se KHana-KHarab kitne hain
bas tere intizar mein sukhe
yaad ke ab gulab kitne hain
jin ki tabir hi nahin kuchh bhi
wo suhane se KHwab kitne hain
is jahan mein har ek qadam 'shahzad'
lene wale hisab kitne hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.