jaan yun hi fana nahin karte
jaan yuuñ hī fanā nahīñ karte
dushmanoñ kā bhalā nahīñ karte
'ādatan jo haiñ vo hī rahte haiñ
log kuchh bhī nayā nahīñ karte
jin kī fitrat meñ bevafā.ī ho
vo kabhī bhī vafā nahīñ karte
taaq pe rakhte haiñ anā tak dil
ham rifāqat ko kyā nahīñ karte
roz khāte haiñ qasmeñ vo ham se
par hamārā kahā nahīñ karte
jo nahīñ mānte ḳhatā apnī
vo kisī ke huā nahīñ karte
ḳhāsiyat hai ye dhoke-bāzoñ kī
sāmne se daġhā nahīñ karte
sach batā kar 'tamām' jhūTe log
jhuuT ko be-maza nahīñ karte
jaan yun hi fana nahin karte
dushmanon ka bhala nahin karte
'adatan jo hain wo hi rahte hain
log kuchh bhi naya nahin karte
jin ki fitrat mein bewafai ho
wo kabhi bhi wafa nahin karte
taq pe rakhte hain ana tak dil
hum rifaqat ko kya nahin karte
roz khate hain qasmen wo hum se
par hamara kaha nahin karte
jo nahin mante KHata apni
wo kisi ke hua nahin karte
KHasiyat hai ye dhoke-bazon ki
samne se dagha nahin karte
sach bata kar 'tamam' jhuTe log
jhuT ko be-maza nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.