jaan yun libas-e-jism ko nikli utar kar
jaañ yuuñ libās-e-jism ko niklī utaar kar
jaise koī sarā.e meñ ik shab guzār kar
hālāt ne libās to melā kiyā magar
kirdār phir bhī rakkhā hai ham ne sañvār kar
me.aar āj-kal to baḌā.ī kā hai yahī
apnī har ek baat ko tū ishtihār kar
gar ho sake to de unheñ ummīd kī kiran
baiThe hoñ zindagānī se apnī jo haar kar
duniyā bahut baḌī hai kahīñ kar talāsh-e-rizq
hālāt kuchh hoñ in pe na ab inhisār kar
ye bhī to hai anā ko kuchalne kā ek taur
nafrat rahī hai jis se usī ko tū pyaar kar
jo zaḳhm dushmanoñ se mile un ko tū na dekh
jo dostoñ ne baḳhshe haiñ un kā shumār kar
ummīd roz ek na.ī le ke jāgiye
nākāmiyoñ ke bojh ko sar se utaar kar
har koī āñsuoñ kī zabāñ jāntā nahīñ
āñkheñ kisī ke sāmne mat ābshār kar
apne nahīñ to aur kisī ke liye bhī jī
'ḳhālid' ravish ik aisī bhī ab iḳhtiyār kar
jaan yun libas-e-jism ko nikli utar kar
jaise koi sarae mein ek shab guzar kar
haalat ne libas to mela kiya magar
kirdar phir bhi rakkha hai hum ne sanwar kar
mear aaj-kal to baDai ka hai yahi
apni har ek baat ko tu ishtihaar kar
gar ho sake to de unhen ummid ki kiran
baiThe hon zindagani se apni jo haar kar
duniya bahut baDi hai kahin kar talash-e-rizq
haalat kuchh hon in pe na ab inhisar kar
ye bhi to hai ana ko kuchalne ka ek taur
nafrat rahi hai jis se usi ko tu pyar kar
jo zaKHm dushmanon se mile un ko tu na dekh
jo doston ne baKHshe hain un ka shumar kar
ummid roz ek nai le ke jagiye
nakaamiyon ke bojh ko sar se utar kar
har koi aansuon ki zaban jaanta nahin
aankhen kisi ke samne mat aabshaar kar
apne nahin to aur kisi ke liye bhi ji
'KHalid' rawish ek aisi bhi ab iKHtiyar kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.