jaana zi-bas zarur tha us jalwa-gah mein
jaanā zi-bas zarūr thā us jalva-gāh meñ
ham dair-o-kā'ba chhoḌ ga.e donoñ raah meñ
jab bosa le liyā to nahīñ gāliyoñ kā rañj
tā'zīr mahv ho ga.ī shauq-e-gunāh meñ
bikhre haiñ phuul idhar to dhare haiñ udhar ko jaam
hai bū-e-itr-e-fitna tirī ḳhvāb-gāh meñ
suufī na ḳhānqāh meñ nai rind dair meñ
majma.a hai ik jahāñ kā tirī jalva-gāh meñ
'majrūh' kahiye maiñ na hañsūñ-bolūñ tā-ba-kai
tum to sadā rahoge isī āh-āh meñ
jaana zi-bas zarur tha us jalwa-gah mein
hum dair-o-ka'ba chhoD gae donon rah mein
jab bosa le liya to nahin galiyon ka ranj
ta'zir mahw ho gai shauq-e-gunah mein
bikhre hain phul idhar to dhare hain udhar ko jam
hai bu-e-itr-e-fitna teri KHwab-gah mein
sufi na KHanqah mein nai rind dair mein
majma hai ek jahan ka teri jalwa-gah mein
'majruh' kahiye main na hansun-bolun ta-ba-kai
tum to sada rahoge isi aah-ah mein
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 35)
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.