jaane ‘aqab se tir tha kis ki kaman ka
jaane ‘aqab se tiir thā kis kī kamān kā
lete haiñ log naam kisī mehrbān kā
āshob-e-tishnagī meñ ye taskīñ bhī kam nahīñ
ehsāñ nahīñ hai sar pe kisī sā.ebān kā
dil maslahat-pasand thā shauq intihā-parast
rasta maiñ DhūñDhtā hī rahā darmiyān kā
duniyā jhalak rahī hai jo mujh meñ to kyā 'ajab
maiñ aa.ina huuñ apne zamān-o-makān kā
taslīm kar chukā huuñ muqaddar ke faisle
mujh ko nahīñ hai ḳhauf kisī imtihān kā
har dard-e-nau pe naġhma-e-tāza likheñge ham
talḳhī nahīñ mizāj hamārī zabān kā
saare sitam zamīn par ahl-e-zamīñ ke haiñ
shikva karūñ to kaise karūñ āsmān kā
uupar falak se jahl-e-'aqīdat ne kar diyā
mimbar buland vā'iz-e-sho'la-bayān kā
jaane ‘aqab se tir tha kis ki kaman ka
lete hain log nam kisi mehrban ka
aashob-e-tishnagi mein ye taskin bhi kam nahin
ehsan nahin hai sar pe kisi saeban ka
dil maslahat-pasand tha shauq intiha-parast
rasta main DhunDhta hi raha darmiyan ka
duniya jhalak rahi hai jo mujh mein to kya 'ajab
main aaina hun apne zaman-o-makan ka
taslim kar chuka hun muqaddar ke faisle
mujh ko nahin hai KHauf kisi imtihan ka
har dard-e-nau pe naghma-e-taza likhenge hum
talKHi nahin mizaj hamari zaban ka
sare sitam zamin par ahl-e-zamin ke hain
shikwa karun to kaise karun aasman ka
upar falak se jahl-e-'aqidat ne kar diya
mimbar buland wa'iz-e-sho'la-bayan ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.