jaane diye ne bola kya
jaane diye ne bolā kyā
aur havā ne samjhā kyā
paidā kar inkār koī
ḳhālī shor-sharāba kyā
jis ke liye parvāz na ho
aisā āb-o-dāna kyā
toḌ diyā luTne ke baa'd
darvāze kā hotā kyā
kis matlab ke ‘arz-o-tūl
aab nahīñ to dariyā kyā
duur talak niilā ākāsh
itnā baḌā bhī parda kyā
ham bhī miTTī tum bhī raakh
tez havā kā shikva kyā
us kī galī meñ aa ga.e kaam
aur hamārā hotā kyā
afzal hai dil kī begār
'ishq meñ ghāTā-vāTā kyā
jaane diye ne bola kya
aur hawa ne samjha kya
paida kar inkar koi
KHali shor-sharaba kya
jis ke liye parwaz na ho
aisa aab-o-dana kya
toD diya luTne ke ba'd
darwaze ka hota kya
kis matlab ke ‘arz-o-tul
aab nahin to dariya kya
dur talak nila aakash
itna baDa bhi parda kya
hum bhi miTTi tum bhi rakh
tez hawa ka shikwa kya
us ki gali mein aa gae kaam
aur hamara hota kya
afzal hai dil ki begar
'ishq mein ghaTa-waTa kya
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 68)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.