jaane kab kis ke chhalakne se ho duniya gharq-e-ab
jaane kab kis ke chhalakne se ho duniyā ġharq-e-āb
merī muTThī meñ hai dariyā sāġhar-o-josh-e-shabāb
dīda-o-dil kā piyāla bhī gañvā aa.e mazīd
dīda-e-ḳhammār kī ḳhvāhish meñ ham ḳhāna-ḳharāb
raqs-e-vahshat ke liye koī to mehvar chāhiye
paañv be-zanjīr haiñ aur ḳhema be-chob-o-tanāb
ab se in jang-o-jadal meñ dāna-pānī ke sivā
saath meñ tabl-o-alam ho aur tā.ūs-o-rabāb
merī bātoñ meñ bhī rāz-e-āgahī aa hī gayā
jaise ramz-e-rū-e-jānāñ jaise asrār-e-kitāb
jaane kab kis ke chhalakne se ho duniya gharq-e-ab
meri muTThi mein hai dariya saghar-o-josh-e-shabab
dida-o-dil ka piyala bhi ganwa aae mazid
dida-e-KHammar ki KHwahish mein hum KHana-KHarab
raqs-e-wahshat ke liye koi to mehwar chahiye
panw be-zanjir hain aur KHema be-chob-o-tanab
ab se in jang-o-jadal mein dana-pani ke siwa
sath mein tabl-o-alam ho aur taus-o-rabab
meri baaton mein bhi raaz-e-agahi aa hi gaya
jaise ramz-e-ru-e-jaanan jaise asrar-e-kitab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.