jaane kaise log the yaad aae kam jaane ke baad
jaane kaise log the yaad aa.e kam jaane ke baa'd
'aib saare khul ga.e marhūm kahlāne ke baa'd
chāñd kā haala mirī āñkhoñ kā jaalā ban gayā
kuchh nazar aayā na phir tere nazar aane ke baa'd
ādmiyyat ke sabhī paimāne ho jaate haiñ paash
bhuuk aisī jāgtī hai peT bhar jaane ke baa'd
us ne ik ik lafz kā paisa kiyā mujh se vasūl
kal kī shab mīlād meñ taqrīr farmāne ke baa'd
maiñ ne tā-hadd-e-nazar dekhā koī monis na thā
dopahar ke vaqt barqī-mauj lahrāne ke baa'd
jaane kaise log the yaad aae kam jaane ke ba'd
'aib sare khul gae marhum kahlane ke ba'd
chand ka haala meri aankhon ka jala ban gaya
kuchh nazar aaya na phir tere nazar aane ke ba'd
aadmiyyat ke sabhi paimane ho jate hain pash
bhuk aisi jagti hai peT bhar jaane ke ba'd
us ne ek ek lafz ka paisa kiya mujh se wasul
kal ki shab milad mein taqrir farmane ke ba'd
main ne ta-hadd-e-nazar dekha koi monis na tha
dopahar ke waqt barqi-mauj lahrane ke ba'd
- Book : Shor ke darmayan (Pg. 31)
- Author : Jamal Owaisi
- Publication : Educational Publishing House (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.