jaane kis baat pe tha mujhse KHafa Dub gaya
jaane kis baat pe thā mujh se ḳhafā Duub gayā
nā-ḳhudāoñ kī mohabbat meñ ḳhudā Duub gayā
ham bhī Duube kahīñ ābād zamīnoñ se pare
aur jis ne hameñ chāhā thā judā Duub gayā
us ne jaate hue hoñToñ se kahā kuchh bhī nahīñ
us kī āñkhoñ meñ mirā ahd-e-vafā Duub gayā
barsar-e-āb-e-ravāñ maut kī ḳhāmoshī hai
raat dariyā meñ koī kachchā ghaḌā Duub gayā
ek tum the jo tah-e-dast-e-qazā chhoḌ ga.e
ek dil thā ki jo rāzī-ba-razā Duub gayā
jaane kis baat pe tha mujh se KHafa Dub gaya
na-KHudaon ki mohabbat mein KHuda Dub gaya
hum bhi Dube kahin aabaad zaminon se pare
aur jis ne hamein chaha tha juda Dub gaya
us ne jate hue honTon se kaha kuchh bhi nahin
us ki aankhon mein mera ahd-e-wafa Dub gaya
barsar-e-ab-e-rawan maut ki KHamoshi hai
raat dariya mein koi kachcha ghaDa Dub gaya
ek tum the jo tah-e-dast-e-qaza chhoD gae
ek dil tha ki jo raazi-ba-raza Dub gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.