jaane kis KHak se gundhe hue hain
jaane kis ḳhaak se guñdhe hue haiñ
raqs-e-bejā meñ sab lage hue haiñ
ḳhud se raqsāñ nahīñ hue haiñ log
sab kisī Dor se bañdhe hue haiñ
koī harkat meñ laa.e jo un ko
ḳhuub thirkeñge jo ruke hue haiñ
na koī dil na ḳhvāhish-e-dil hai
phir musībat meñ kyoñ paḌe hue haiñ
Dor kāġhaz qalam kī hai 'tasnīm'
lafz ki putliyāñ bane hue haiñ
jaane kis KHak se gundhe hue hain
raqs-e-beja mein sab lage hue hain
KHud se raqsan nahin hue hain log
sab kisi Dor se bandhe hue hain
koi harkat mein lae jo un ko
KHub thirkenge jo ruke hue hain
na koi dil na KHwahish-e-dil hai
phir musibat mein kyon paDe hue hain
Dor kaghaz qalam ki hai 'tasnim'
lafz ki putliyan bane hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.