jaane kis ne aag lagai pani mein
jaane kis ne aag lagā.ī paanī meñ
ham ne puurī raat bitā.ī paanī meñ
sab ne apne sapne dekhe aur hameñ
ik chehra bas diyā dikhā.ī paanī meñ
Duub samundar ke andar mujh pyāse ne
paanī kī tasvīr banā.ī paanī meñ
saare pashchātāp nadī meñ kuud ga.e
us ne jab huñkār uThā.ī paanī meñ
thoḌā thoḌā zahr milāyā thā sab ne
ham ne shakkar ḳhuub milā.ī paanī meñ
jaane kis ne aag lagai pani mein
hum ne puri raat bitai pani mein
sab ne apne sapne dekhe aur hamein
ek chehra bas diya dikhai pani mein
Dub samundar ke andar mujh pyase ne
pani ki taswir banai pani mein
sare pashchatap nadi mein kud gae
us ne jab hunkar uThai pani mein
thoDa thoDa zahr milaya tha sab ne
hum ne shakkar KHub milai pani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.