jaane kis samt se hawa aai
jaane kis samt se havā aa.ī
baar baar apnī hī sadā aa.ī
husn bhī hech sāmne jis ke
mere hisse meñ vo balā aa.ī
mujhe sajde kiye farishtoñ ne
kaam mere mirī ḳhatā aa.ī
kaise barsī ghaTā samundar par
apnī āñkheñ kahāñ gañvā aa.ī
jāgne kā savāl hī na rahā
aaj kī raat niiñd kyā aa.ī
palaT aa.ī umiid us dar se
mirī hī aabrū gañvā aa.ī
sabr hī kar liyā to phir 'shahzād'
mere hoñToñ pe kyuuñ duā aa.ī
jaane kis samt se hawa aai
bar bar apni hi sada aai
husn bhi hech samne jis ke
mere hisse mein wo bala aai
mujhe sajde kiye farishton ne
kaam mere meri KHata aai
kaise barsi ghaTa samundar par
apni aankhen kahan ganwa aai
jagne ka sawal hi na raha
aaj ki raat nind kya aai
palaT aai umid us dar se
meri hi aabru ganwa aai
sabr hi kar liya to phir 'shahzad'
mere honTon pe kyun dua aai
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 901)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.