jaane kitna guman dekha hai
jaane kitnā gumān dekhā hai
shaan ko be-nishān dekhā hai
maiñ ne dhartī pe ḳhaak hote hue
bārhā āsmān dekhā hai
jo tarastā ho ḳhud hī saa.e ko
aisā bhī sā.ebān dekhā hai
Digriyāñ le ke Thokareñ khātā
desh kā naujavān dekhā hai
daur-e-hāzir kī is taraqqī meñ
bhūkā nangā kisān dekhā hai
bolne se hī jis ke aag lage
aisā bhī bad-zabān dekhā hai
apne bhārat ke jaisā ai 'jāved'
des koī mahān dekhā hai
jaane kitna guman dekha hai
shan ko be-nishan dekha hai
main ne dharti pe KHak hote hue
barha aasman dekha hai
jo tarasta ho KHud hi sae ko
aisa bhi saeban dekha hai
Digriyan le ke Thokaren khata
desh ka naujawan dekha hai
daur-e-hazir ki is taraqqi mein
bhuka nanga kisan dekha hai
bolne se hi jis ke aag lage
aisa bhi bad-zaban dekha hai
apne bhaarat ke jaisa ai 'jawed'
des koi mahan dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.