jaane kitne KHatron mein usne KHud ko Dala hai
jaane kitne ḳhatroñ meñ us ne ḳhud ko Daalā hai
jis ne ā.īna sach kā haath meñ sambhālā hai
zindagī to hai āsāñ sabr-o-shukr meñ rah kar
ḳhvāhishāt ne sab ko mushkiloñ meñ Daalā hai
jaane kyā ho mustaqbil qaum kā ḳhudā jaane
ab to sirf maazī kā hī bachā havāla hai
haiñ kahāñ ujāloñ kī aabrū ke rakhvāle
har taraf añdheroñ kā aaj bol-bālā hai
husn ke fusūñ-kāro thaam kar jigar baiTho
mauja-e-tabassum meñ dard Dhalne vaalā hai
pāniyoñ pe hai pahra aaj bhī yazīdoñ kā
kyoñ lagā zabānoñ par aaj sab ke taalā hai
phailtā sadāoñ kā dā.era bhī ab dekho
jhiil meñ ḳhamoshī keī sañg jab uchhālā hai
niiñd phir kahāñ aa.ī dīda-e-pareshāñ meñ
ghar se jab qadam bāhar ḳhvāb ne nikālā hai
kyā use bujhā.eñge log apnī phūñkoñ se
jis charāġh ko 'ash.har' āñdhiyoñ ne paalā hai
jaane kitne KHatron mein us ne KHud ko Dala hai
jis ne aaina sach ka hath mein sambhaala hai
zindagi to hai aasan sabr-o-shukr mein rah kar
KHwahishat ne sab ko mushkilon mein Dala hai
jaane kya ho mustaqbil qaum ka KHuda jaane
ab to sirf mazi ka hi bacha hawala hai
hain kahan ujalon ki aabru ke rakhwale
har taraf andheron ka aaj bol-baala hai
husn ke fusun-karo tham kar jigar baiTho
mauja-e-tabassum mein dard Dhalne wala hai
paniyon pe hai pahra aaj bhi yazidon ka
kyon laga zabanon par aaj sab ke tala hai
phailta sadaon ka daera bhi ab dekho
jhil mein KHamoshi kei sang jab uchhaala hai
nind phir kahan aai dida-e-pareshan mein
ghar se jab qadam bahar KHwab ne nikala hai
kya use bujhaenge log apni phunkon se
jis charagh ko 'ashhar' aandhiyon ne pala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.