jaane kitne KHayal chalte hain
jaane kitne ḳhayāl chalte haiñ
is liye dil sañbhāl chalte haiñ
aaj kī baat kyoñ nahīñ hotī
kyoñ sabhī kal pe Taal chalte haiñ
kuchh to kahnā thā aap se ham ko
chhoḌiye bahar-hāl chalte haiñ
kam se kam ek to javāb mile
zehn meñ sau savāl chalte haiñ
ye na.e rishta ye na.e bandhan
dekhiye kitne saal chalte haiñ
zikr-e-māzī na fikr-e-mustaqbil
soch meñ le ke haal chalte haiñ
chug gayā khet uḌ ga.ī chiḌiyā
'sant' ab kyā malāl chalte haiñ
jaane kitne KHayal chalte hain
is liye dil sanbhaal chalte hain
aaj ki baat kyon nahin hoti
kyon sabhi kal pe Tal chalte hain
kuchh to kahna tha aap se hum ko
chhoDiye bahar-haal chalte hain
kam se kam ek to jawab mile
zehn mein sau sawal chalte hain
ye nae rishta ye nae bandhan
dekhiye kitne sal chalte hain
zikr-e-mazi na fikr-e-mustaqbil
soch mein le ke haal chalte hain
chug gaya khet uD gai chiDiya
'sant' ab kya malal chalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.