jaane kya aisa use mujh mein nazar aaya tha
jaane kyā aisā use mujh meñ nazar aayā thā
mujh se milne vo bulandī se utar aayā thā
koī to garmī-e-ehsās se miltā us se
itne din ba.ad to vo lauT ke ghar aayā thā
vo mire paañv kā chakkar thā ki manzil thī mirī
ghūm-phir kar vahī har baar khañDar aayā thā
vo mire saath thā sahrā ho ki dariyā 'farruḳh'
us ke hote hue kyā lutf-e-safar aayā thā
jaane kya aisa use mujh mein nazar aaya tha
mujh se milne wo bulandi se utar aaya tha
koi to garmi-e-ehsas se milta us se
itne din baad to wo lauT ke ghar aaya tha
wo mere panw ka chakkar tha ki manzil thi meri
ghum-phir kar wahi har bar khanDar aaya tha
wo mere sath tha sahra ho ki dariya 'farruKH'
us ke hote hue kya lutf-e-safar aaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.