jaane kya jurm hua hai mujhse
jaane kyā jurm huā hai mujh se
merā saaya bhī judā hai mujh se
jism kā bojh liye jā.ūñ kahāñ
ḳhilqat-e-shahr ḳhafā hai mujh se
yuuñ kiyā be-sar-o-sāmāñ us ne
mujh ko bhī chhīn liyā hai mujh se
merī hastī hai yahāñ kitnī haqīr
merā saaya bhī baḌā hai mujh se
phir tabāhī kī naved aa.ī hai
phir vahī shaḳhs milā hai mujh se
hādisa koī use pesh aayā
apnā ghar pūchh rahā hai mujh se
tohmateñ naam lagī haiñ 'shāhid'
shahr meñ kaun burā hai mujh se
jaane kya jurm hua hai mujh se
mera saya bhi juda hai mujh se
jism ka bojh liye jaun kahan
KHilqat-e-shahr KHafa hai mujh se
yun kiya be-sar-o-saman us ne
mujh ko bhi chhin liya hai mujh se
meri hasti hai yahan kitni haqir
mera saya bhi baDa hai mujh se
phir tabahi ki nawed aai hai
phir wahi shaKHs mila hai mujh se
hadisa koi use pesh aaya
apna ghar puchh raha hai mujh se
tohmaten nam lagi hain 'shahid'
shahr mein kaun bura hai mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.