jaane kya kahte hue sarw saman guzre hain
jaane kyā kahte hue sarv saman guzre haiñ
kaise hālāt se gul zer-e-chaman guzre haiñ
ab batāo ki mulāqāt bhalī yā furqat
tum pe ye hijr ke lamhe jo kaThin guzre haiñ
chāñdnī raat meñ do saa.e ba-sad-husn-e-ḳhirām
in daraḳhtoñ ke tale mahv-e-suḳhan guzre haiñ
us pe ye nuur hai dekhoge to hairat hogī
chāñd par aaj talak jitne gahan guzre haiñ
jazba-e-shauq hai bharpūr hai aur sachchā hai
saare sahrāoñ se dīvāne magan guzre haiñ
daulat-e-dard faqat us kī ināyat hī nahīñ
aur jānib se bhī kuchh ranj-o-mehan guzre haiñ
bad-gumāñ lafz the mashkūk sadā.eñ thiiñ 'nasīm'
is samā.at pe kuchh aise bhī suḳhan guzre haiñ
jaane kya kahte hue sarw saman guzre hain
kaise haalat se gul zer-e-chaman guzre hain
ab batao ki mulaqat bhali ya furqat
tum pe ye hijr ke lamhe jo kaThin guzre hain
chandni raat mein do sae ba-sad-husn-e-KHiram
in daraKHton ke tale mahw-e-suKHan guzre hain
us pe ye nur hai dekhoge to hairat hogi
chand par aaj talak jitne gahan guzre hain
jazba-e-shauq hai bharpur hai aur sachcha hai
sare sahraon se diwane magan guzre hain
daulat-e-dard faqat us ki inayat hi nahin
aur jaanib se bhi kuchh ranj-o-mehan guzre hain
bad-guman lafz the mashkuk sadaen thin 'nasim'
is samaat pe kuchh aise bhi suKHan guzre hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.