jaane kyā maiñ DhūñD rahā thā
ḳhud ko shāyad bhuul chukā thā
manzil rasta badal chukī thī
gum-sum sā raahī lauTā thā
yādoñ kī rail meñ jā baiThā
raat ga.e jab ek bajā thā
tū ne aate der lagā dī
maiñ to rasta dekh rahā thā
tum aa.e to yaad hai aayā
maiñ kitnā kuchh bhuul chukā thā
dorāhe tak saath the donoñ
phir rasta apnā apnā thā
jaane kya main DhunD raha tha
KHud ko shayad bhul chuka tha
manzil rasta badal chuki thi
gum-sum sa rahi lauTa tha
yaadon ki rail mein ja baiTha
raat gae jab ek baja tha
tu ne aate der laga di
main to rasta dekh raha tha
tum aae to yaad hai aaya
main kitna kuchh bhul chuka tha
dorahe tak sath the donon
phir rasta apna apna tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.