jaane kya qimat-e-arbab-e-wafa Thahregi
jaane kyā qīmat-e-arbāb-e-vafā Thahregī
maiñ agar arz karūñgā to ḳhatā Thahregī
nok-e-nashtar se khilā.ī ga.iiñ kaliyāñ kitnī
jaane is shahr kī kyā āb-o-havā Thahregī
raqs-e-parvāna kī gardish jo thame āḳhir-e-shab
ahl-e-mahfil ke liye ye bhī adā Thahregī
aaj ke daur meñ vīrāne bhī ta.amīr hue
kal kī tahzīb ḳhudā jāniye kyā Thahregī
muddatoñ ba.ad kisī band darīche ke qarīb
kyā ḳhabar thī mirī raftār zarā Thahregī
tirī āvāz mire vāste sahrā kā sukūt
merī ḳhāmoshī rah-o-rasm-e-duā Thahregī
log rahte haiñ yahāñ ḳhālī makānoñ kī tarah
kis ke darvāza pe dastak kī sadā Thahregī
'shāz' idhar ḳhvāb ke dariyā pe milegā koī
ek parchhā.īñ sar-e-āb sunā Thahregī
jaane kya qimat-e-arbab-e-wafa Thahregi
main agar arz karunga to KHata Thahregi
nok-e-nashtar se khilai gain kaliyan kitni
jaane is shahr ki kya aab-o-hawa Thahregi
raqs-e-parwana ki gardish jo thame aaKHir-e-shab
ahl-e-mahfil ke liye ye bhi ada Thahregi
aaj ke daur mein virane bhi tamir hue
kal ki tahzib KHuda jaaniye kya Thahregi
muddaton baad kisi band dariche ke qarib
kya KHabar thi meri raftar zara Thahregi
teri aawaz mere waste sahra ka sukut
meri KHamoshi rah-o-rasm-e-dua Thahregi
log rahte hain yahan KHali makanon ki tarah
kis ke darwaza pe dastak ki sada Thahregi
'shaz' idhar KHwab ke dariya pe milega koi
ek parchhain sar-e-ab suna Thahregi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.