jaane kyon mujhse bad-qayas raha
jaane kyoñ mujh se bad-qayās rahā
jo bhī yaañ mere ās-pās rahā
mujh ko koī yahāñ samajh na sakā
maiñ zamāne meñ be-libās rahā
phuul ik taaza aaj ai saaqī
terī mahfil meñ be-havās rahā
ek 'arsa huā khule na ye lab
un kī 'ismat kā mujh ko paas rahā
koī mahfil na raas aa.ī mujhe
bazm-e-sāqī meñ bhī udaas rahā
raat sunte rahe jo qissa-e-qais
saare maiḳhāne meñ hirās rahā
mere hote hue yahāñ 'ākif'
ye jahāñ mujh se nā-shanās rahā
jaane kyon mujh se bad-qayas raha
jo bhi yan mere aas-pas raha
mujh ko koi yahan samajh na saka
main zamane mein be-libas raha
phul ek taza aaj ai saqi
teri mahfil mein be-hawas raha
ek 'arsa hua khule na ye lab
un ki 'ismat ka mujh ko pas raha
koi mahfil na ras aai mujhe
bazm-e-saqi mein bhi udas raha
raat sunte rahe jo qissa-e-qais
sare maiKHane mein hiras raha
mere hote hue yahan 'akif'
ye jahan mujh se na-shanas raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.