jaane na denge barq ko ab aashiyan se hum
jaane na deñge barq ko ab āshiyāñ se ham
nazzāra-e-bahār kareñge yahāñ se ham
sab jānte haiñ is ko kaheñ kyā zabāñ se ham
jo rabt-e-ḳhās rakhte haiñ hindostāñ se ham
rūdād-e-ishq tum ne vahīñ se sunā.ī hai
jis dāstāñ ko bhuul ga.e the jahāñ se ham
ik baat pūchhte haiñ ki baaqī rahegā kyā
uTh kar chale ga.e jo tire āstāñ se ham
gulchīñ ne fasl-e-gul ko chaman se uḌā liyā
khelā kiye tilism-e-bahār-o-ḳhizāñ se ham
rāh-e-talab meñ zauq-e-junūñ jab baḌhā to phir
aksar bichhaḌ bichhaḌ ke mile kārvāñ se ham
vo sab qafas meñ barq kī tasvīr ban ga.e
tinke sameT laa.e the jo āshiyāñ se ham
ab tak vahīñ bhaTakte haiñ arbāb-e-ārzū
naqsh-e-qadam miTā ke chale the jahāñ se ham
'shāhid' sā koī aur vafā āshnā nahīñ
kyā sun rahe haiñ aaj tumhārī zabāñ se ham
jaane na denge barq ko ab aashiyan se hum
nazzara-e-bahaar karenge yahan se hum
sab jaante hain is ko kahen kya zaban se hum
jo rabt-e-KHas rakhte hain hindostan se hum
rudad-e-ishq tum ne wahin se sunai hai
jis dastan ko bhul gae the jahan se hum
ek baat puchhte hain ki baqi rahega kya
uTh kar chale gae jo tere aastan se hum
gulchin ne fasl-e-gul ko chaman se uDa liya
khela kiye tilism-e-bahaar-o-KHizan se hum
rah-e-talab mein zauq-e-junun jab baDha to phir
aksar bichhaD bichhaD ke mile karwan se hum
wo sab qafas mein barq ki taswir ban gae
tinke sameT lae the jo aashiyan se hum
ab tak wahin bhaTakte hain arbab-e-arzu
naqsh-e-qadam miTa ke chale the jahan se hum
'shahid' sa koi aur wafa aashna nahin
kya sun rahe hain aaj tumhaari zaban se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.